Shaam-e-firaaq ab na pooch…

Faiz Ahmed Faiz….need I say more?
————–
Sham-e-firaaq ab naa pooch, aayi aur aa ke tal gayi,
Dil thaa ke phir behal gaya, jaan thee ke phir sambhal gayi;

Bazm-e-Khayal mein tere husn ki shamaa jal gayi,
Dard ka chaand bujh gaya, hijr ki raat dhal gayi;

Jab tujhe yaad kar liyaa subaha mehak mehak uthee,
jab tera gham jaga liya raat machal machal gayi;

Dil se to har muamlaa kar ke chale the saaf hum,
kehney mein unke samne baat badal badal gayi;

Aakhir-e-shab ke humsafar “faiz” najaane kya hue,
Reh gayi kis jagah saba, subaha kidhar nikal gayi.

—————

Shaam-e-firaaq= Night of separation, Bazm-e-khayal= salon of (my) thoughts

Listen to Begum Akhtar mesmerize you with her performance here and a reasonable translation here.

Advertisement

2 thoughts on “Shaam-e-firaaq ab na pooch…

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s